umid-o-bim ke aalam mein dil dahalta hai wo aate aate kai raste badalta hai abhi to sham hai tanqid kar na rindon par suna hai raat gae mai-kada sambhalta hai na koi khauf na andesha aur na rakht-e-safar ye kaun hai jo mere sath sath chalta hai hamare waste jis ja pe hadd-e-fasil hai wahin se ek naya rasta nikalta hai ajib chiz hai ye karb-e-khud-kalami bhi jo baat kije to ek silsila nikalta hai na jaane kitne sar-e-pur-ghurur katte hain ajib shakhs hai talwar ban ke chalta hai 'habab' shikwa baja lao naqd-e-jaan ke tufail tumhaare nam ka sikka yahan bhi chalta hai