ummid ke sahil pe thahar kyon nahin jata dariya meri aankhon ka utar kyon nahin jata zinat ki koi chiz salamat nahin maula naqsha ye mere ghar ka sanwar kyon nahin jata muddat se kadi dhup mein jo garm-e-safar hai wo dasht-e-tamanna se udhar kyon nahin jata wo kab mere dukh-dard ko mahsus karega kuze mein samundar ye utar kyon nahin jata hathon ki lakiron ne sitare se kaha hai aangan mein mere chand utar kyon nahin jata kab tak main sanbhaala karun khakistar-e-dil ko khushbu ki tarah main bhi bikhar kyon nahin jata kis kis ki inayat ka ehsas sanbhaale ye bojh mere sar se utar kyon nahin jata tahzib ke aamal ke aaine bahut hain chehron ka magar rang nikhar kyon nahin jata