ummid tuti hui hai meri jo dil mera tha wo mar chuka hai jo zindagani ko talkh kar de wo waqt mujh par guzar chuka hai agarche sine mein sans bhi hai nahin tabiat mein jaan baqi ajal ko hai der ek nazar ki falak to kaam apna kar chuka hai gharib-khane ki ye udasi ye na-durusti nahin qadimi chahal pahal bhi kabhi yahan thi kabhi ye ghar bhi sanwar chuka hai ye sina jis mein ye dagh mein ab masarraton ka kabhi tha makhzan wo dil jo arman se bhara tha khushi se us mein thahar chuka hai gharib akbar ke gard kyun mein khayal waiz se koi kah de use daraate ho maut se kya wo zindagi hi se dar chuka hai