umr bhar duniya ko samjhata raha khud fareb-e-zindagi khata raha raushni aankhon mein baqi thi na thi wo nazar mein tha nazar aata raha zindagi kya thi tere jaane ke baad sans tha aata raha jata raha is tarah dhundhoge ek din tum mujhe jaise kuchh khoya gaya jata raha apni surat hi na pahchani gai waqt aaina to dikhlata raha apne hi tute khilaunon se 'rais' zindagi bhar dil ko bahlata raha