umr ke aangan mein belen ban ke phaila koi khwab jaise jine ke liye kafi ho tanha koi khwab sochiye kya mauj-e-gul se bhi koi lab tar hua dekhiye sahil pe rah jae na pyasa koi khwab rang-o-surat do alag shakhsiyyaten hain is liye donon kahte hain hamein dije hamara koi khwab wahimon ki zad se bachne ko safar jari rakho tum zara thahre ki saya ban ke uljha koi khwab phir dhadakte hain dil-e-insan mein farda ke khayal phir hawaon ne zamin par la utara koi khwab us ko khwabon se ziyaada rat-jagon ka shauq tha us ki palkon par isi bais na thahra koi khwab sang-paron ki zaban hoti to shayad mangte koi chehra koi paikar koi shoala koi khwab kya tamasha-gah mein us ke liye manzar na the ya use masruf rakhta hai usi ka koi khwab shor-e-duniya mein sisakti hai sada-e-dil kahin zindagi tashkil de naghmat jaisa koi khwab