un ke milne ka ba-zahir to yaqin koi nahin wo agar chahen koi shak hai nahin koi nahin ai junun teri inayat se hai tanhai nasib aur to sare bayaban mein kahin koi nahin mutmain jab the to himmat ka tha sath apne hujum dar jahan hone laga hum ko wahin koi nahin ishq ki rahon mein aaya hai ek aisa bhi maqam sirf ek main hun wahan ahl-e-zamin koi nahin ek din naqsh-e-qadam par mere ban jaegi rah aaj sahra mein to tanha hun kahin koi nahin