un ke qisse agar bayan hote raaz sare tabhi ayan hote tum ko aate hunar jo rahzan ke bas tumhi mir-e-karwan hote bair hum se sahi magar socho hum na hote to tum kahan hote zindagi wo jagah dikha de ab tujh ko pate to hum jahan hote un ki mahfil mein dil nahin lagta jab wo auron mein shadman hote ye mukammal agar jahan hota phir khalaon mein kyun jahan hote soch mein qurbaten agar hotin fasle yun na darmiyan hote tum hi gosha-nashin the 'adil' warna charche kahan kahan hote