un ko dimagh-e-pursish-e-ahl-e-mehan kahan

un ko dimagh-e-pursish-e-ahl-e-mehan kahan
ye bhi sahi to hum ko majal-e-sukhan kahan

ek bund hai lahu ki magar be-qarar hai
dil ko chhupae zulf-e-shikan-dar-shikan kahan

tamkin-e-khamushi ne unhen but bana diya
sab is guman mein hain ki un ke dahan kahan

wo sham-e-wada mahw hain aaraishon mein aur
pahuncha hai le ke mujh ko mera su-e-zan kahan

'bekhud' na kyun hon duri-e-ustad hai malul
socho to marwad kahan hai dakan kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close