un ko kahan hai fikr kisi bhi azab ki kyon baat kar rahe ho gunah-o-sawab ki duniya banai us ne kuchh apne hisab ki taswir khinch dali haqiqat ki khwab ki tanqid karte karte wo naqqad ban gae ab aa gai hai bari khud un ke hisab ki jati hui bahaar ke manzar ko dekh kar un ko padi hai fikr ab apne shabab ki aasudgi maze se sulati hai raat bhar mahrumiyan qabaen banati hain khwab ki jo log khud-farebi mein rahte hain mubtala un ki nazar mein qadar kahan aaftab ki 'shamshad' ko haqiqat-e-kirdar ka hai ilm hajat use kahan hai kisi bhi nisab ki