un ko phir be-naqab kaun kare dil ki duniya kharab kaun kare shauq-e-izhaar-e-arzu hi nahin dagh-e-gham ka hisab kaun kare nigah-e-intikhab shahid hai himmat-e-intikhab kaun kare bazm mein wo to muntazir hain mere bazm mein baryab kaun kare dekhte hain wo mast nazron se yaad jam-e-sharab kaun kare tab-e-guftar hi nahin baqi shikwa-e-iztirab kaun kare dil hai nakaam-e-arzu 'nayyar' ab ise kaamyab kaun kare