unhen ab koi aaina dijiye zara asli surat dikha dijiye bithae hain pahre bahut aap ne zaban pe bhi tala laga dijiye wichaaron se hi wo to bimar hain koi soch ki ab dawa dijiye saza hi sahi kuchh to de jaiye wafaon ka ab to sila dijiye jo insan se insan ko waqif kare hamein koi aisa khuda dijiye mohabbat hai ye kab ye bandhan lagi bhale kitni sarhad bana dijiye