unhen hum salik-e-rah-e-fana ai dil samajhte hain

unhen hum salik-e-rah-e-fana ai dil samajhte hain
jo apne har-nafas ko aakhri manzil samajhte hain

use hum daulat-e-kaunain ka hasil samajhte hain
jise sab dur kahte hain jise sab dil samajhte hain

wahi kuchh sajda-ha-e-shauq ka hasil samajhte hain
jo us ke qurb ko firdaus-e-jaan-o-dil samajhte hain

nishan hai mere sajde ka jo ek rah-e-mohabbat mein
usi ko sab charagh-e-sarhad-e-manzil samajhte hain

na wo qatil na un ki chashm-o-mizhgan-o-nazar qatil
hum apne dil ko khud apne liye qatil samajhte hain

koi is irtibaat-e-bahami ke raaz kya jaane
jise wo tir kahte hain use hum dil samajhte hain

wo ek halka sa partaw hai mere dagh-e-mohabbat ka
jise ahl-e-jahan 'nayyar' mah-e-kaamil samajhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close