unhen sawal hi lagta hai mera rona bhi ajab saza hai jahan mein gharib hona bhi ye raat raat bhi hai odhna-bichhauna bhi is ek raat mein hai jagna bhi sona bhi wo habs-e-dam hai zamin aasman ki wusat mein ki aisa tang na hoga lahad ka kona bhi ajib shahr hai ghar bhi hain raston ki tarah kise nasib hai raaton ko chhup ke rona bhi khule mein soenge phir motiya ke phulon se sajao zulf basa lo zara bichhauna bhi najat-e-ruh bhi arzan nushur-e-dil ki tarah hua hai sahl zamiron ke dagh dhona bhi 'aziz' kaisi ye saudagaron ki basti hai garan hai dil se yahan kath ka khilauna bhi