unhin baaton se us ki khu bigdi kabhu hum se bani kabhu bigdi kyun gila ghair ka kiya jae muft us se pae adu bigdi hijr mein haar kar jo sabr kiya wasl ki hum se aarzu bigdi chain se dil to us ke sath gaya jaan aafat-rasida tu bigdi qadr-e-gauhar hai aab se 'tanwir' phir raha kya jab aabru bigdi