unhin kanton se jo phulon ki zaban hote hain kitne afsane gulistan ke bayan hote hain main hi aawara sa phirta hun kisi ki khatir log yun raat ko sadkon pe kahan hote hain chhod dete hain wahan dard ke kitne nashtar hum ghazal-khwan teri mahfil mein jahan hote hain ek had tak jo bujha dete the shoale dil ke ab in aankhon mein wo aansu bhi kahan hote hain ek duniya-e-khirad dil se lipat jati hai hum jo us shokh ki jaanib nigaran hote hain hum wo andesha-e-farda hain chaman mein 'nazim' gul ke chehre se jo har aan ayan hote hain