unhin ke kaam ilahi mera lahu aae

unhin ke kaam ilahi mera lahu aae
rangen jo hath lahu mein hina ki bu aae

mariz hosh mein aae na aae tu aae
jo tu na aae tere gesuon ki bu aae

itab-e-yar ka is ke siwa jawab na tha
hum aae to liye aaina ru-ba-ru aae

na pi zaban se mera bhi zikr kar dena
kalim-e-tur par un se jo guftugu aae

na jhut bol ki hum sham se kal aaenge
na kha qasam are jhuti kabhi jo tu aae

namaz hogi ada dukht-e-raz ke daman par
hamari bazm mein jo aae ba-wazu aae

talab kiye kabhi hum ne agar pas-e-tauba
bahut bhare hue hum se khum-o-subu aae

utarne wale abhi tak na baam se utre
tadapne wale tadap kar falak ko chhu aae

garan dimagh wo hain bu-e-gul ki tezi se
nasim kah de zara halki ho ke bu aae

nisar wasl ki raaten us ek saat par
hum intizar mein tere hon aur tu aae

ye jaante hain ki nikla hua hai nam us ka
hasin hashr mein kyun mere ru-ba-ru aae

khule jo koi to khul kar kisi se baaten hon
uthe hijab to kuchh lutf-e-guftugu aae

dilae yaad jo wade to bole jhunjhla kar
ye aur hashr mein lene ko aabru aae

kabhi ki pi hui kaam aae aaj hashr ke din
khuda ke samne mai-nosh surkh-ru aae

'riyaz' thi jo muqaddar mein baz-gasht-e-shabab
jawan hone ko piri mein lucknow aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close