upar jo parind ga raha hai niche ka mazaq uda raha hai mitti ka banaya naqsh us ne ab naqsh ka kya bana raha hai ghar bhar ko ye taqcha mubarak khud chal ke charagh aa raha hai ab duri huzuri kya hai sahab bas jism ko jism kha raha hai ye waqt ka khas aadmi tha be-waqt jo ghar ko ja raha hai ab main nahin rah mein to rasta meri jagah khak uda raha hai awwal wo ghalat banane wala aakhir ko ghalat mita raha hai wo qafila aa saka nahin kyun rasta bhi to wan se aa raha hai