urdi-o-dai se pare sud-o-ziyan se aage aao chal niklen kahin qaid-e-zaman se aage is kharabe mein abas hain gham-o-shadi donon meri taskin ka maskan hai makan se aage aah-o-nala hi sahi ahl-e-wafa ka maslak ek maqam aur bhi aata hai fughan se aage dar tak saf nazar aata hai rishta dekhen phir kidhar jate hain ushshaq wahan se aage khun-aluda kafan shaareh-e-sad-daftar-e-dil tarz-e-izhaar hai ek aur zaban se aage fikr mafluj jo zindani-e-aflak rahe tir be-kar jo nikle na kaman se aage thi bahut khana-kharabi ko hamari ye umr ek jahan aur bhi sunte hain yahan se aage main ki hun hazir-o-maujud ke waswas mein qaid tu ki hai parda-nashin wahm-o-guman se aage