us darbar mein lazim tha apne sar ko kham karte warna kam-az-kam apni aawaz hi maddham karte is ki ana taskin nahin pati khali lafzon se shayad kuchh ho jata asar tum girya-e-paiham karte sikh liya hai aakhir hum ne ishq mein khush khush rahna dard ko apni dawa banate zakhm ko marham karte kaam hamare hisse ke sab kar gaya tha diwana kaun sa aisa kaam tha baqi jis ko ab hum karte har jaane wale ko dekh ke rakh liya dil par patthar kis kis ko rote aakhir kis kis ka matam karte dil to hamara jise patthar se bhi sakht hua tha patthar pani ho gaya sukhi aankhon ko nam karte ban jata tiryaq usi ka zahr agar tum 'haidar' koi aayat pyar ki padhte aur us par dam karte