us gali mein jo hum ko lae qadam panw padte hi ladkhadae qadam wae qismat main rah gaya pichhe aur rafiqon ne jald uthae qadam har qadam par hai lash kushte ki ab kahan us gali mein jae qadam tere kuche se aae jo un ke apni aankhon se main lagae qadam ashk-e-khuni se mere us ku main nakhl-e-marjaan hain naqsh-ha-e-qadam karwan-e-adam kidhar ko gaya mutlaq aati nahin sada-e-qadam peshtar manzil-e-fana se nahin wadi-e-ma-o-man mein jae qadam 'mushafi' salikan-e-ishq ka hai aisi manzil pe intiha-e-qadam