us ka andaz hai juda sab se fasla sab se rabta sab se log masruf hain fasanon mein aap kah dije waqia sab se jaane kyon tai hua nahin ab tak do qadam hi ka fasla sab se chand namon pe parda rahne do meri itni hai iltija sab se chup raha karta hai 'naim' aksar jab se waqif wo ho gaya sab se