us ka apna hi karishma hai fusun hai yun hai yun to kahne ko sabhi kahte hain yun hai yun hai jaise koi dar-e-dil par ho sitada kab se ek saya na darun hai na barun hai yun hai tum ne dekhi hi nahin dasht-e-wafa ki taswir nok-e-har-khar pe ek qatra-e-khun hai yun hai tum mohabbat mein kahan sud-o-ziyan le aae ishq ka nam khirad hai na junun hai yun hai ab tum aae ho meri jaan tamasha karne ab to dariya mein talatum na sukun hai yun hai naseha tujh ko khabar kya ki mohabbat kya hai roz aa jata hai samjhata hai yun hai yun hai shairi taza zamanon ki hai meamar 'faraaz' ye bhi ek silsila-e-kun-fayakun hai yun hai