us ka chehra bhi chamak mein na misali nikla

us ka chehra bhi chamak mein na misali nikla
chand suraj ke ujalon ka sawali nikla

log samjha kiye mausam hi nahin udne ka
us ki uzlat ka sabab be-par-o-baali nikla

phul to mil gaya khushbu na magar hath lagi
us ko pane ka junun kham-khayali nikla

barish-e-sang mein bhi aai dua honton par
sab ne kam-tar jise jaana tha wo aali nikla

be-hadaf tir chalata raha koi 'gulzar'
jab zarurat padi tarkash wahan khali nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close