us ka gham apni talab chhin ke le jaega dard ban kar meri rag rag mein utar aaega regzaron se pare khench raha hai koi jaane kas dasht mein dariya mujhe bhatkaega bhul jaunga main jab apni nawaon ki kasak us ki aankhon mein lahu mera utar aaega koi patthar ka nishan rakh ke juda hon hum tum jaane ye ped kis aandhi mein ukhad jaega