us ka hai azm-e-safar aur nikharne wala sakht mausam se musafir nahin darne wala chaargar tujh se nahin koi tawaqqo mujh ko dard hota hai dawa had se guzarne wala na-khuda tujh ko mubarak ho khudai teri sath tere main nahin par utarne wala us pe ehsan ye karna na uthana us ko apne pairon pe khada hoga wo girne wala par karne the use kitne sawalon ke bhanwar atkalen chhod gaya dub ke marne wala main udanon ka taraf-dar use kaise kahun baal-o-par jo hai parindon ke katarne wala kyun bhala mere liye itne pareshan ho tum ek patta hi to hun sukh ke jharne wala apni nazron se gira hai jo kisi ka bhi nahin sath kya dega tera khud se mukarne wala gard haalat ki ab aisi jami hai tujh par aaine aks nahin koi ubharne wala ye zamin wo to nahin jis ka tha wada tera koi manzar to ho aankhon mein thaharne wala