us ka tabassum us ka tarannum us ki tajalli pae to prem-pujari prem-nagar tak manzil manzil jae to naseh-e-mushfiq tujh ko mubarak kausar-o-jannat hur-o-malak hum ko dil se naz hai is par hum un ke kahlae to zarra zarra is duniya ka dida-o-dil rakhta hai magar ahl-e-khirad phir chup-chup kyon hain koi hamein batlae to sukh rahi hai kyari kyari suna suna gulshan hai sabza-o-gul phir raqs karenge fasl-e-bahaaran aae to dali dali jhum rahi hai ek hue hain do dil aaj un ki meri prem-kahani kash amar ho jae to hum hain un ke pujne wale nisbat un se rakhte hain phir ye tabahi kyon hai hum par koi hamein batlae to rind nahin do ghunt jo pi kar bahki baaten karte hain dekhna mera zarf bhi saqi rang pe mahfil aae to