us lab ki khamushi ke sabab tutta hun main dast-e-dua mein rakkha hua aaina hun main ab ja ke ho sakegi mohabbat wasuq se khud se bichhadte waqt kisi se mila hun main aabaad hai khazane ki afwah se wajud matruk jangalon ka koi rasta hun main dastar kaghzi hai fazilat hai nam ki chhoton ki mehrbani se ghar mein bada hun main ro kar na soya jae to kya nind ka jawaz bistar ki har shikan mein pada jagta hun main hun apni raushni ki aziyyat mein mubtala jalta hua charagh hun ulta pada hun main