us nigah-e-naz ne yun raat-bhar tajsim ki sab charaghon mein barabar raushni taqsim ki raat pichhe pad gai thi khauf ke sae liye khwab se aage nikal kar waqt mein tarmim ki aaina ho jaega ye dasht mujh par ek din girhen khulti ja rahi hain ahsan-e-taqwim ki donon hi aa kar alif ki raushni mein zam huin ek tajalli lam ki aur ek tajalli mim ki shahd ka bhi zikr ho sakta tha hone ko magar us ke lahje ke mutabiq baat chhedi nim ki main hi tha apne muqabil khwahishon ki dor mein haarna mushkil laga so jit hi taslim ki dost lekin tujh ko ye izzat na ras aai kabhi main ne apne aap se badh kar teri takrim ki sham hote hi charaghon ko sajaya taq mein sara din so kar guzara raat ki tazim ki umr-bhar suraj ke aage hath phailae magar ek sitare ne mujhe ye raushni talim ki khinch kar aflak pe ek surmai raushan lakir chand ne surat badal dali hamari theem ki main ne 'zeb' us ko mohabbat mein kaha tha mujh se mil us ne meri baat ki kitni ghalat tafhim ki