us se bichhaD ke dil ko manane ki baat thi

us se bichhad ke dil ko manane ki baat thi
kale samundaron mein nahane ki baat thi

kya kijiye ki hum ko koi aur bha gaya
waise to ek umr nibhane ki baat thi

nas nas mein bas gaya tha koi jogiya badan
khushbu badan mein us ke jagane ki baat thi

lazim tha us se tark-e-talluq ki us ke sath
jo baat thi wo guzre zamane ki baat thi

barg-e-khizan hun mauj-e-hawa hai mera nasib
shakh-e-shajar ko itna jatane ki baat thi

us se mila to jism ke par phadphada uthe
khud se mile to jism milane ki baat thi

ai 'soz' us ka hath milana bahana tha
likkha hua nasib mitane ki baat thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close