us se ji bhar ke mili dad-e-tamanna mujh ko jis ne taswir teri dekh ke dekha mujh ko dekhne wale ye kis shan se dekha mujh ko aaj duniya ke maze de gai duniya mujh ko jazb-e-dil tere karishmon ne ulat di duniya ab sunate hain wo khud mera fasana mujh ko be-tahasha teri taswir pe jati hai nigah jab koi kahta hai taqdir ka mara mujh ko ek dhaj aalam-e-wahshat mein badalta hun roz chahta hun ki kahen log tumhaara mujh ko ghar ko chhoda hai khuda jaane kahan jaane ko ab samajh lijiye tuta hua tara mujh ko dil lahu kar gaya aaghaz-e-mohabbat 'manzar' aur abhi dekhna baqi hai natija mujh ko