us taraf ahl-e-hasad hain jo bujhate hain charagh

us taraf ahl-e-hasad hain jo bujhate hain charagh
is taraf hum hain charaghon se jalate hain charagh

chain man-bap ki aankhon ko nahin aata hai
jab talak laut ke ghar mein nahin aate hain charagh

ye taraqqi hai ki tahzib ka girta mear
aankhen is daur mein suraj se milate hain charagh

us taraf wo bhi pareshan hain mohabbat kar ke
raat bhar hum bhi jalate hain bujhate hain charagh

main zaifi ke andheron mein pada hun apne
kab talak dekho mera sath nibhate hain charagh

sab ki fitrat mein nahin hota ujale karna
apne ghar ko bhi kabhi aag lagate hain charagh

ho gai khak mohabbat ki kahani lekin
aaj bhi hum teri yaadon ke jalate hain charagh

hum se aati nahin nafrat ki tijarat ai 'faraaz'
hum sukhnawar hain mohabbat ke jalate hain charagh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close