us taraf bhi wahi siyah ghubar hum ne dekha hai ja ke nind ke par kitna kuchh bolna pada tum ko ek chhota sa lafz tha inkar khushk aankhon ki chup darane lagi dil madad kar meri kisi ko pukar tujh ko ai shakhs kuchh khabar bhi hai kis kharabe mein hai tera bimar phir ye dukh bhi to aasmani hai kya khafa hona is zamin se yar