use ab ke wafaon se guzar jaane ki jaldi thi magar is bar mujh ko apne ghar jaane ki jaldi thi irada tha ki main kuchh der tufan ka maza leta magar bechaare dariya ko utar jaane ki jaldi thi main apni mutthiyon mein qaid kar leta zaminon ko magar mere qabile ko bikhar jaane ki jaldi thi main aakhir kaun sa mausam tumhaare nam kar deta yahan har ek mausam ko guzar jaane ki jaldi thi wo shakhon se juda hote hue patton pe hanste the bade zinda-nazar the jin ko mar jaane ki jaldi thi main sabit kis tarah karta ki har aaina jhuta hai kai kam-zarf chehron ko utar jaane ki jaldi thi