use malum hai main sar-phira hun magar khush hai ki us ko chahta hun ye basti kab darindon se thi khali main phir bhi thik logon mein raha hun jo chahe wo mujhe be-dam le le kharidaron ke hathon kam bika hun teri chahat bahana hai yaqin kar ba-har surat main khud ko chahta hun zara sun be-niyaz-e-lams sun le main tujh ko chhu ke khud ko bhulta hun kahan toda hai main ne shakh se gul main shakh-e-gul pe gul ko manta hun