use to kho hi chuke phir khayal kya us ka ye fikr kaisi ki phir hoga haal kya us ka wo ek shakhs jise khud hi chhod baithe hain ghulae deta hai dil ko malal kya us ka tumhaari aankhon mein chhalkin nadamaten kaise jawab banne laga kya sawal kya us ka wo nafraton ke bhanwar mein bhi muskura ke mila ab is se badh ke bhala ho kamal kya us ka use to jaan se bhi apni aziz-tar rakhiye jo zakhm khud hi lage indimal kya us ka ab is tarah bhi na yaadon ki kirchiyan chuniye na tha firaq se behtar visal kya us ka ye soch kar na use phir kabhi mile 'khalid' ki jaane hoga nadamat se haal kya us ka