use yaadon mein jab lana musalsal kar diya maine

use yaadon mein jab lana musalsal kar diya main ne
use wo hichkiyan aain ki pagal kar diya main ne

kitabon mein padhe jab ek-tarfa pyar ke qisse
khud apna dil tamannaon ka maqtal kar diya main ne

kai ghazlen padi thin na-mukammal ek arse se
use jab aaj dekha to mukammal kar diya main ne

jo saya ham-qadam ban kar safar mein sath rahta tha
hamesha ke liye khud se alag kal kar diya main ne

suna to khair se aaya hun us ko dastan apni
magar un phul si aankhon ko bojhal kar diya main ne

tumhaare baal main ne khol kar mausam badal dala
faza mein dur tak baadal hi baadal kar diya main ne

dhuan yaadon ka hi kafi tha dil kamzor karne ko
jala kar rakh kal bidi ka bandal kar diya main ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close