use ye wahm wo shatir baDa hai

use ye wahm wo shatir bada hai
abhi hum se kahan pala pada hai

wo khud khamosh hi kab ho raha tha
tamancha waqt ne munh par jada hai

dalilen dete dete thak chuka main
wo jahil apni hi zid par ada hai

idhar kuchh ahl-e-haq sina-sipar hain
udhar baatil ka ek lashkar khada hai

teri tazim aur kaise karun main
tere qadmon mein mera sar pada hai

main kaise chhod dun ab hath us ka
meri khatir wo duniya se lada hai

khudai ka jise dawa tha kal tak
wo apni qabr mein aundha pada hai

use kyon aaina dikhla rahe ho
wo be-ghairat bada chikna ghada hai

lahu rista hai mere dil mein ab tak
tumhaari yaad ka khanjar gada hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close