usi sanam ke liye KHwar hum yahan kam hain

usi sanam ke liye khwar hum yahan kam hain
mere raqib hamein kya azab-e-jaan kam hain

mere chaman ko kisi ki nazar ne khaya hai
khizan ka daur nahin phir bhi titliyan kam hain

to kya hua ki agar lakdiyan nahin miltin
hamare pas jalane ko ladkiyan kam hain

ye kis ke sog mein mahtab munh chhupae hai
ye kis ke gham mein sitare bhi zau-fishan kam hain

nigah-e-as se dekhe hai sab taraf sar-e-hashr
kisi ke palde mein 'gulfam' nekiyan kam hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close