us ke dhyan ki dil mein pyas jaga li jae ek bhi sham na phir us ke nam se khali jae aaankhon mein kajal ki parat jama li jae sakhiyon se yun prit ki jot chhupa li jae ret hai suraj hai wusat hai tanhai lekin nan is dil ki kham-khayali jae aaankhon mein bhar kar is dasht ki hairani wahshat ki umda taswir bana li jae aap ne pahle bhi to mujh ko dekha hoga! aap ke munh se aap ki baat chura li jae sochon mein girdab se padne lag jaen aaankhon se phir aath pahar na lali jae dil-azari ki mitti se istada ghar un be-faiz daron tak kaun sawali jae