us ki aankhon ne sar-e-bazm thaharne na diya sabr mazlum ko zalim ki nazar ne na diya aankh bhar kar unhen hum dekh hi lete dam bhar itna mauqa hi kabhi dida-e-tar ne na diya shikwa-e-wada-khilafi pe wo jhallae magar muskurahat ke tasadduq ki mukarne na diya jab wo aae sar-e-mahfil to sanwarne aae un ko shokhi ne kabhi ghar mein sanwarne na diya apni barbaad jawani ki hai rudad itni gham ne hansne na diya ishq ne marne na diya 'mast' kya us ki mohabbat mein tera dil thahra apni nazron ko kabhi jis ne thaharne na diya