uski aawaz mein the sare KHad-o-Khaal uske

us ki aawaz mein the sare khad-o-khal us ke
wo chahakta tha to hanste the par-o-baal us ke

zard-ru ek hi pal mein hui madh-mati sham
lal hone bhi na pae the abhi gal us ke

kahkashaon mein tadapte the sitaron ke parind
sabz aakash pe har-su the bichhe jal us ke

kat hi lenge judai ka zamana hum to
dekhiye kaise guzarte hain mah o sal us ke

ek din hum bhi khile us ki hasin rahon mein
ek din panw mein hum bhi hue pamal us ke

chandni us ka badan chand hai us ka chehra
khetiyan dhan ki aankhon ke hasin tal us ke

rat-jaga hum bhi manaen ki suna hai hum ne
roz likhti hai sahar khun se ahwal us ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close