usko jab yaad nahin baiTh ke ro lete hain

us ko jab yaad nahin baith ke ro lete hain
aa shab-e-hijr kahin baith ke ro lete hain

hijr ki lambi masafat se abhi laute ho
panw shal hain to yahin baith ke ro lete hain

phir se ji uthta hun jab meri aza-dari ko
aasman aur zamin baith ke ro lete hain

tham kar mujh se kaha faqa-zada hathon ne
ghar mein bachche hain yahin baith ke ro lete hain

jhonpdi apne liye takht-e-sulaimani hai
dard hain takht-nashin baith ke ro lete hain

har jagah rone ke aadab 'nasir' apne hain
ganw hai shahr nahin baith ke ro lete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close