us ko jitna bhula raha hun main utna nazdik pa raha hun main sang to aaj hun main us ke liye muddaton aaina raha hun main jo uthate nahin hai phone talak un ke nakhre utha raha hun main mujh ko quran padha rahe hain wo un ko gita padha raha hun main aur kuchh der mujh se baaten kar teri baaton mein aa raha hun main jaane kis ki talash mein 'ujjwal' muddaton lapata raha hun main