us ne aise kaha shukriya mohtaram main bhi khud ko samajhne laga mohtaram mujh se milte hue aam sa wo laga zikr tera kiya aur hua mohtaram shah ka hath hum ko ye samjha gaya bujh ke hota hai kaise diya mohtaram rah puchhi hai hum ko bata dijiye hum ne manga hai kab mashwara mohtaram pattharon ke nagar se nikalen mujhe laut aaegi meri sada mohtaram panw mere zamin par ye tikte na the nam ke sath likkha gaya mohtaram khud-shanasi ki manzil hamein jab mili khul gaya hum pe bab-e-fana mohtaram