us ne apna liya to thahra main wo samundar hai aur dariya main us ki wusat mein wusaten meri us ki gahraiyon mein gahra main sang barse ki phul mat puchho tutna tha mujhe so tuta main ham-nashin kya jo ham-khayal nahin anjuman anjuman hun tanha main rabt-e-guft-o-shunid ho to khule log gunge hain ya hun bahra main ab na jazba na aarzu na umid bin diwanon ka ek sahra main yaad rakhna hi na-guzir hai kyun kabhi tujh ko bhula bhi sakta main