uth ke logon se kinare aaiye kuchh hamein kahna hai pyare aaiye gar ijazat ho to parwana ki tarah sadqa hone ko tumhaare aaiye muddaton se aarzu ye dil mein hai ek din tu ghar hamare aaiye kuchh to ki tasir nala ne mere aae tum muddat mein bare aaiye aap ki kal yaad mein 'bedar' ko ginte guzri raat tare aaiye