utha bhi dil se agar meri chashm-e-tar mein raha khuda ka shukr hai tufan ghar ka ghar mein raha na jaane kaun si us mein kashish thi poshida tamam-umr wo chehra meri nazar mein raha sitam-shiar se hum jite-ji ye kyun kah den ki hausla na hamare dil-o-jigar mein raha na rok paunga hargiz main teri ruswai tu ashk ban ke agar meri chashm-e-tar mein raha wo meri tarah bhi khana-kharab kyun rahta bana ke dil ko mere ghar wo apne ghar mein raha fana ke baad bhi ki hai teri qadam-bosi main khak ho ke bhi teri hi rahguzar mein raha gaya jo taj mili ba-kamal darweshi zamana yun bhi mere halqa-e-asar mein raha zarur ho na ho tu tha mujh hi mein poshida ye zauq-e-sajda hamesha jo sar ke sar mein raha gaya jo manzil-e-maqsud tak jo tu diwana ye ahl-e-hosh hamesha agar-magar main raha hai 'ehtisham' zamane mein badh ke ek se ek wo kaun hai ki jo yakta kisi hunar mein raha