uTha kar barq-o-baran se nazar manjdhaar par rakhna

utha kar barq-o-baran se nazar manjdhaar par rakhna
hamesha ke liye ye hath ab patwar par rakhna

visali mausamon ki bazyabi chahne walo
bajae shakh-e-gul dast-e-talab rukhsar par rakhna

sar-e-takhliq tan kab ikhtirai dhun nikal aae
zara ye hont tum barbat ke tute tar par rakhna

wabaal-e-dosh tha ye tum kisi kone pe likh dena
numaish ke liye jab sar sutun-e-dar par rakhna

baqa-e-nau-e-insani ki khatir chahta hun main
ab apne aap ko barud ke ambar par rakhna

wo kirnon se bhari do-pahriyan ab yaad aati hain
fatada barg uthana saya ek ashjar par rakhna

'zubair' aqwam-e-alam mein bhi ho tashhir wahshat ki
garebanon ke ye tukde khat-e-asar par rakhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close