uThaegi jo ruKH-e-yar se naqab hawa

uthaegi jo rukh-e-yar se naqab hawa
karegi did se mujh ko bhi faizyab hawa

bharosa kar ke main uljha hun mauj-e-dariya se
likhegi azm ka mere bhi kya nisab hawa

uda ke le gai manzar sabhi nigahon se
dikha rahi hai mujhe dekho kaise khwab hawa

kiya hai shikwa andheron ne aaj basti mein
sata rahi hai charaghon ko be-hisab hawa

khile hain phul adawat ke har taraf 'ahmad'
zamane-bhar mein chali hai badi kharab hawa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close