uThane ko to uTha raha hun na uTThe jo bar-e-gham kisi se

uthane ko to utha raha hun na utthe jo bar-e-gham kisi se
nazakat-e-dil ka hai ye aalam ki chot lag jati hai hansi se

koi ye soche wo kya karega tabahiyon ka gila kisi se
jo un ke har zulm-e-na-rawa ko aziz rakhta hai zindagi se

jo mujh se mera sukun le le sukun le kar azab de de
wo aagahi koi aagahi hai main baz aaya us aagahi se

hazar chahe zamana lekin ye dard-o-alam ke andhere
agar hue dur to ye honge faqat mohabbat ki raushni se

kisi ki mahfil se uth to aae magar ye hai apna haal 'shaariq'
kisi andhere mein aa gae hon guzar ke hum jaise raushni se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close